所属专辑:Meri Baari Hai
歌手: Pardhaan
时长: 03:55
Meri Baari Hai - Pardhaan[00:00:00]
Written by:Pardhaan/Harry Cheema[00:00:00]
Duniya gol hai aaj maine maan liya[00:00:31]
Wahi par pahuncha hun jahaan se start kiyatha[00:00:34]
Jhujharu ab main haar gaya[00:00:37]
Itne dino ka sangharsh barbaad gaya[00:00:39]
Ah[00:00:43]
Main aapa kho raha hoon[00:00:43]
Jaagta hun kam[00:00:45]
Zyada so raha hoon[00:00:46]
Kayarta ki charam seema paar logon ko[00:00:48]
Chup karata tha[00:00:50]
Aaj khud main ro raha hun[00:00:52]
Gumnami ka andhera behtar hai[00:00:53]
Likhna nahi fayeda kuch bhi keh kar hai[00:00:56]
Befizul ki utha li zimewari maine[00:00:59]
Tez kulhadi karke uspe gardan maari maine[00:01:02]
Har nazar gadi mujh par[00:01:04]
Nazar lagi mujhe[00:01:06]
Main niche hoon ya sabse upar[00:01:07]
Khabar nahi mujhe[00:01:09]
Dheron bhaav ghabrahat ke mere mooh pe[00:01:10]
Kheench ke rakhta hoon aaj kal main kaan khud ke[00:01:13]
Upar se vishvash uthta jaa raha hai[00:01:16]
Rinni hun tumhara bhai gaa raha hai[00:01:19]
Raahu betha sar par ketu aane wala hai[00:01:22]
Kismat khuli nahi kabhi laga uspar laga tala hai[00:01:24]
Baais saalon se fansa hoon iss zindagi mein[00:01:27]
Main hi akela berozgar hoon apni gali mein[00:01:30]
Nashihat dete log saath nahi deta koi[00:01:33]
Vaada karte dete tod jaise hain neta koi[00:01:35]
Dhoondhne mein laga khazana Kuber ka[00:01:38]
Waqt ki barbadi karta hosh nahi der ka[00:01:41]
Musibat mein nahi main khud hi mushibat hoon[00:01:44]
Khushiyan khareedni hai bolo kya keemat doon[00:01:47]
Kya jeevan mera hoga theek hai mujhe shak[00:01:50]
Khud ki khushi khudkhushi hai mera haq[00:01:53]
Buzdil nahi jo baatein kahi ek soch hai[00:01:56]
Sab ek railgadi mein sawaar bas alag coach hai[00:01:58]
Aaj dukh mein hoon agla padaav kaamyabi[00:02:01]
Main asli pita tumhara tumhe khabar zara bhi[00:02:04]
Jaante nahi beshaq se sunte mere gaane[00:02:07]
Na rakho dilchaspi agar koi meri maane[00:02:09]
Thaane thane mein likha hai mera naam[00:02:12]
Bura insaan jo karta bas ache kaam[00:02:15]
Shaam hote hi aa jati mujhe teri yaad[00:02:18]
Kasam se mohabbat nahi huyi tere baad[00:02:21]
Jo tere saath tha mera naam mitana hai[00:02:23]
Khud ko bhula hoon yaad dilana hai[00:02:26]
Asal mein kho jana hi manzil paana hai[00:02:29]
Main pura pagal ye duniya pagalkhana hai[00:02:32]
Aankhein masal li main ki poori tyari hai[00:02:35]
Door karni hai dikatein jitni bhi saari hai[00:02:38]
Sab kuch karna hai theek koshish meri jaari hai[00:02:40]
Sabse piche khada tha ab meri baari hai[00:02:43]
Meri baari hai[00:02:46]
Meri meri baari hai[00:02:47]
Sabse piche khada tha ab meri bari hai[00:02:49]
Meri baari hai[00:02:52]
Meri meri baari hai[00:02:53]
Sabse piche khada tha ab meri bari hai[00:02:55]
Badbola hun mujhe lena dena kya hoti taal[00:02:57]
Kalam se wafadari nahi chhodi filhaal[00:03:00]
Dhanaywad tahe dil se karta hoon shrotagano ka[00:03:03]
Jinhone rakhe sar aankhon par khurafati mere khayal[00:03:06]
Ab lekin mujhko pachtana nahi hai phir se[00:03:09]
Akela hi accha hoon door bhagun mehfil se[00:03:11]
Badi mushkil se ab jaake suni hai dil ki[00:03:14]
Accha laga mujhko aaj khud hi se milke[00:03:17]
Dheeraj sanyam sanjeedgi[00:03:20]
Sabki naak mein dam kiya[00:03:21]
Aankhon mein jhonki dhool[00:03:23]
Aur kaam kam kiya[00:03:24]
Ab laanghna hai shamtaaon ko[00:03:25]
Aadto ka karna hai ulhangan[00:03:27]
Daridarrta ko chhod[00:03:28]
Mehnat se sapna karna hai sampan[00:03:29]
Dum kham kam nahi[00:03:31]
Bas jeet ki darkaar hai[00:03:33]
Dil aur dimaag mere dono bimaar hai[00:03:34]
Mujhse milto julto ki tadaad bharmaar hai[00:03:37]
Aap ke samaksh ye kuch mere vichar hain[00:03:39]